Lakh duniya kahe tum nahi ho, tum yaheen ho... Haan, tum yaheen ho...
2 din... Aur sirf aik aap, aik apki ankhein, bass sirf yehi hain mere samnay... Chahoon bhi toh mera dil, dimagh kuch aur nahi kerne de raha... Mri nazron mein sirf aapka chehra aa raha hai, mujhe nahi maloom kyun, 8 saalon mein itni shiddat se aap labhi yaad nahee aye, per in do dino se apko aik lamhe ke liyeh mein nahee chorr pa rahee... Bass nahi chal raha, kahan se dhoondh laoon... Aik aik ker ki poori zindagi ankhon ke samany aa gayee.. Bchpan, larakpan, jawani... Mein ne burhapa bhi aapke sath soch liya tha... Maa, kuch unfair hay yeh... Ya nahi? Yaad aata hai apka yeh kehna ki maut pehle aa jaye, per mohtaji nahi, auR mera jawaban yeh kehna, nahii, pehle me phir aap... Aur apka yeh kehna, pagal, kabhi bachay pehle martay hain kya!!!! Ar phir ankh dikhana... Mummy, mujhe hospital yaad aata hai, emergency room mein hum dono, woh oxygen mask, jo apko bilkul pasand nahi aa raha tha, baar baar usay nikal rahay thay aap, woh doctor jinho ne ankh ke isharay se sambhal liya tha.. Apka haath, kafi sooj gaya tha drip ki wajah se, aur mera apke hath ko sehlana... Mummy, mujhe sab kuch kal ki tarah yaad hai... ICU.. Incharge ki dosti, jo waqtan fawaqtan humein aapse milne deyte thay... Woh akhri dafa aapka coma se bahar aana, aik jhilmilatee muskurahaat aur isbaat mein sir hilana, yeh kehna sab theek hojayega, amma.. U left me so alone... Sab ki zindai mein aik best friend hota hai... U are still my best friend, and proudly so... Buhut mushkil lagta hai kisi se bhi apna dukh bantna, lekin aapko batana behadd aasan..

Comments